|
Hindi Short Stories
"Sher Aur Chuha"
The Lion and the Mouse
Click
here for the English version of this story

Ek baar ek Sher apni gufa mein so raha tha. Tabhi ek chuha kahin se
aakar uske uppar koodne laga. Jisse usski neend toot gayi. Sher ko
chuhe par itni jor se gussa aaya ki ussne chuhe ko apne panjay mein
jakad liya aur usse marne ka soochne laga. Chuha bahaut darr gaya.
Ussne kaapte huaye sher se kaha -" hey Sher raja ! agar aap mujhe
janne denge to aap ka bahaut upkaar hoga aur aapke es upkaar
ko mein waqt anne par jaroor chuka doonga." Yeh sunkar sher ko chuhe
par daya aagayi aur ussne usse jane diya. Par weh mann he mann hansa
ki bhala yeh chotta sa chuha mera upkaar kya chukayega.
Samay bitatta gaya aur ek din hamesha ki tarah sher shikar ki talash
mein jungle mein ghoom raha tha ki ek shikari ne usse chalaki se
apne jaal mein pakad liya. Sher apni sahyata ke liye jor-jor se
dahaad marne laga. Sher ki awaz sunkar chuha wahan aaya. Sher ko
jaal mein phansa dekhkar ussne turant apne nukele danto se jaal kaat
diya aur sher ko azad kar diya. Sher ne chuhe ka bahaut dhanyawad
kiya. uss din sher ko samajh aaya ki kissi bhi prani ki kabliyaat
usske bahari roop se nahi karni chaiye aur kabhi chotte- bade ka
bhaidbhav nahi karna chaiye. Hamesha sabki madat kani chaiye kyunki
jo doosaron ki madat karta hai, usski bhi sab madat karte hain.
Got ! Hindi Short Stories to share. Contribute here...
Back to Hindi Stories Page
|