|
Hindi Short Stories
"Pyasa Kauva"
Thirsty Crow

Ek baar ki baat hai kissi jangal mein ek kauva
rahta tha. Ek din usse badi jor se pyas lagi. Weh pani ki talash
mein bahaut door tak udta raha, parantu kahin bhi usse pani nahi
mila. Jab weh bahaut thak gaya to usse akhir mein ek ghada dikhai
diya jismay bahaut thoda-sa pani tha.
Jab kauvay
ne pani pina chaha tu usski chonch pani tak nahi ja saki. Ussne har
tarah se pani pine ki koshish ki, par sab bekar gayi. Kauva bechain
ho uttha, tabhi usse ek upaiy soojha. Ussne aas-paas se kankad
ekatrit kare aur ek-ek karke apni chonch se ghade mein tab tak dale
jab tak pani uppar nahin aagaya. Phir kauvay ne ji bhar kar pani
piya.
Es tarah kauvay ne apni mehnat aur sehanshakti
se apni pyas bhujhayi aur apni jaan bachayi.
Got ! Hindi Short Stories to share. Contribute here...
Back to Hindi Stories Page
|